Photography

Hussain (A.S) Likhna

Haroof ki roshnaai ly kar,
Badeeda-e-tar HUSSAINع likhna,
Tum aisa karna Kitab-e-Dil k,
warq warq per HUSSAINع likhna..

Huroof khushbu k phool ban kar,
tumhary seeny main khil uthain gy,
Tum aisa karna k apni ankhon,
aur apny lub per HUSSAINع likhna..

Tumhary tareek manzaron main,
ujalay phootain gay phool ban kar,
Tum aisa karna k apne ghar main,
DUROOD parh kar HUSSAINع likhna..

HUSSAINع likhna phir isko likhna,
phir isko likh kar tum aisa karna,
K aaj tak tum nay jo be likha,
tum aus ka mehwar HUSSAINع likhna..

Wo barchiyan, wo chamakty khanjar,
wo tapty sehra pukarty hain,
Tum aisa karna k KARBALA k,
badan py ja k HUSSAINع likhna..

Agar kitabat ka shouq ho to
Kitab-e-Sabr-o-Raza main “Rahat”
Jahan Shaheedon k naam likhna,
to sab say ouper “HUSSAINع” Likhna..

#SairaSyed #ArtXpert #YaHussain #یاحسین
#Calligraphy #ShiaArt #IslamicArt #Photography

Related Articles

Check Also
Close
Back to top button